– npidrish
Kitna tajjub hota hai soch kar...
Masjid – jahan Allah shayad hota bhi nahin,
Mandir – jahan Bhagwaan kabhi jaata bhi nah ho,
Church – jahan Yeshu ko un deewaron se koi matlb bhi nahin...
Phir bhi,
In sab ke liye yahaan ek gahri, mazboot jagah hai.
Par jis jagah sach mein Ishwar, Allah, Yeshu chhipe baithe hote hain,
Jis dil mein sacha noor palta hai –
Us chhoti si aankh mein sapne hote hain,
Us nanhe se haath mein kitaab honi chahiye...
Us bachpan ke liye jagah kahaan hai?
Shikshaalay – jahan har dharm, har soch, har rang ka baccha
Insaan ban sakta hai –
Wahan jagah nahi milti.
Chhatt nahin milti un bachon ko
Jinme Rab vaas karta hai,
Jo bhookhe sone ke baad bhi
Kitaab ke sapne dekhte hain.
Agar unmein Ishwar basa hai –
To kyun nahin koi Ishwar
Unke liye chhatt bana sakta?
Jagah sab ke liye hai...
Bas shayad gyaan ke liye nahi.
Bas shayad un bacho ke liye nahi
Jo sach mein bhagwan ki roshni hain.
---